Tuesday, 28 April 2015

Yun gawara nahi jeena bin tere mujhe,

Yun gawara nahi jeena bin tere mujhe,
Kyun hai juda koi to waja batade,
Kuch aur nahi to kar itna KARAM,
Jahan tu yad na aye koi aisi jaga batade,,,

Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena,

Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena,
Tere dil mai utar jaon to mujhe maaf kardena,
Yunhi guse mai aa kar daant dena to meri aadat hai,
Agar mai aisa kar jaon to mujhe maaf kardena,
Raste mai tujhe dekh kar teri deed ki khatir,
Pal bhar jo theher jaon to mujhe maaf kardena,
Apne jazbaat se likhi hui ye shokh tehreer,
Tere naam kar jaon to mujhe maaf kardena,
Teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
Tere bin jo mai mar jaon to mujhe maaf kardena,,,

Juda hone se darta hon,

Juda hone se darta hon,
Meri ankhain batati hain,
Mai ab sone se darta hon,
Meri ungli pakar lena mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik mela hai tumhe khone se darta hon
Jo hansta hon to kyun palkon ke goshay bheeg jate hain,
Tumhe maloom hai mai is tarah rone se darta hon,
Ye jab se khwab dekha hai mujhe tum chor jao gi,
Mai ab darta hon khwabon se mai ab sone se darta hon,,,

Usne kaha chand khobsrt he ya MAIN Mene kaha

Usne kaha chand khobsrt he ya MAIN
Mene kaha
ye to may nhi janta
Mgr
jb TUMHY Dekhta hon to chand Bool jata hoƱ
Or
jb chand pr prti hy nzr to TUM yad aty ho

Meri zindagi tera sath ho,

Meri zindagi tera sath ho,
Meri zindagi teri baat ho,
Jo jhukay nazar tera khawab ho,
Jo uthay nazar teri zat ho,
Mere hath mai ek phool ho
Aur wo phool tera hath ho

Nahi Hain Hum Haseen Itne Ke Har Kisi Ke Dil Main Bus Jayen, ,

Nahi Hain Hum Haseen Itne Ke Har Kisi Ke Dil Main Bus Jayen, ,
Par Jis Ke Sath Chal Parain Zindagi Usi Ke Naam Kardete Hain, , , , ,

Is Dard k Baad Koi Dard Dard NAhi Lagta

Is Dard k Baad Koi Dard Dard NAhi Lagta
Ke Shidat-e-Dard Ki Inteha Hoti hai Mohabbat
Nahi Uththi Wo AAnkhain Phir kisi Pe
Ke Jin Aankhon Mein Fana Hoti hai Mohabbat
Umer Bher Jinka Aazala Na Ker Payen
Bas Aik Aesi Hi Khata Hoti Hai Mohabbat
Jo Mil Jaye To Phir Bas Kya Kehna
Werna Aik Musalsel Saza Hoti Hai Mohabbat
Log Mujhse Har Bar Yehi Pochte Hain
Tum Ne Uss Mein Dekha Kya?
Mein Her Baar Yehi Kehta Hon
Bewajah Hoti Hai Mohabbat

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, ,

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, ,
Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati, ,
Tu Mangay To Ye Jan Bhi Hans Kar Tujhe Donga, ,
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahi Jati, ,
Hamrah Tere Phool Jo Khilati Thi Dil Main, ,
AB Shaam Wohi Dard Se Khali Nahi Jati, ,
Hai Koi Jo Aa Kar Ye Tere Dard Sanbhale, ,
Mujhse To Ye Jageer Sanbhali Nahi Jati, ,
Main Jan Se Jaonga Tabhi Baat Banegi, ,
Tum Se To Koi Raah Nikali Nahi Jati, , , , ,

Pathan: Ye Fridge Kitne Ka Hai?

Pathan: Ye Fridge Kitne Ka Hai?
Salesman: Hum pathano Ko Koi Cheez Nahi Bechte
Pathan After 1 Month Clean Shave With 3 Piece Suit: Ye Fridge Kitne Ka Hai?
Salesman: Hum Pathano Ko Koi Cheez Nahi Bechte
After 2 Months Full Angrez Banke Gaya: Whats The Cost Of That Fridge?
Salesman: Hum Pathano Ko Koi Cheez Nahi Bechte
Pathan Guse Main: Tujhe Kaise Pata Chal Jata Hai Ke Main Pathan Hon?
Salesman: Kyunke Ye Fridge Nahi Almari Hai. . . . .

Tuj say juda ho ker.........

Tuj say juda ho ker.........
Mae youn bikhar jaon.........
Jis tarha, tar say toot ker.......

Moti bikhar jatay hain!!!

Tumhe Har Waqt Wo Guzra Zamana Yad Ayega, ,

Tumhe Har Waqt Wo Guzra Zamana Yad Ayega, ,
Na Honge Hum To Ye Hansna Hansana Yad Ayega, ,
Bahane Jab Karega Koi Tumse Phir Na Milne Ke, ,
Tumhe Phir Ek Ek Apna Bahana Yad Ayega, ,
Kabhi Jab Torr Daalega Koi Waade Mohabbat Ke, ,
Tumhe Meri Muhabbat Ka Zamana Yad Ayega, ,
Gale Mil Kar Hame Rukhsat Kiya Tha Apne Jis Dum, ,
Tumhe Wo Hamara Aansu Bahana Yad Ayega, ,
Manayega Na Jab Koi Tumhe Youn Rooth Jane Par, ,
To Apna Roothna Mera Manana Yad Ayega, , , , ,

Rog Aise B Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain

Rog Aise B Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain
:
Dar Se Uthte Hain To Dewaar Se Lag Jate Hain
:
Be-Basi B Kbhi Qurbat Ka Sabab Banti Ha
:
Ro Na Paayen To Galay Yaar K Lag Jate Hain
:
Daagh Daaman K Hon, Dil K Hon Ya Chehre Ke
:
Kuch Nishaan Umar Ki Raftaar Se Lag Jate Hain..!

Hum hi tehre saza war aur khata kuch bhi nahi,


Hum hi tehre saza war aur khata kuch bhi nahi,
Tu kya samajta hai tere baad howa kuch bhi nahi,
Yaad jab ayi teri raha kuch bhi nahi,
Dil ne bas aah bhari aur kaha kuch bhi nahi,
Waqt ki tarah ye sansen bhi rawan hain ab tak,
Ik bas ashk thamay aur ruka kuch bhi nahi,
Hath se hath chura kar gaya jab se tu
Maine us wakt se in hathon se chua kuch bhi nahi,
Kash Tu mujhse keh de achanak aa kar
Ke tere baad mere jeevan mai bacha kuch bhi nahi,,,,,

Tere Loat Aane Ka Intezar Karta Hon, ,

Tere Loat Aane Ka Intezar Karta Hon, ,
Dekh Main Tujhse Kitna Pyar Karta Hon, ,
Main Banata Hon Kaghaz Par Teri Tasverain, ,
Phir Unse Batain Hazaar Karta Hon, ,
Tere Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se, ,
Apne Dukhon Main Shumar Karta Hon, ,
Sach Samajhta Hon Jhoot Bhi Tere, ,
Youn Mai Tujh Pe Aitbaar Karta Hon, ,

usne kaha tha ke mai tumhe apna bana kar chorongi FARAZ

usne kaha tha ke mai tumhe apna bana kar chorongi FARAZ
phir yun howa ke usne mujhe apna bana kar chor diya,,,,,

Is dil_e_hasti ko us se pyar bohat hai,

Is dil_e_hasti ko us se pyar bohat hai,
Magar wo shaks bhi fankar bohat hai,
Na mile to milne ki justuju bhi nahi karta
Aur milta yun hai jaise hamara talabgar bohat hai,,,,,

Wo zeher deta to dunya ki nazron mai ajata faraz

Wo zeher deta to dunya ki nazron mai ajata faraz
usne yun kiya ke waqt par dawa na di,,,,,

Mujhe To Aaj Pata Chala Ke Mai Kis Qadar Tanha Hon, ,

Mujhe To Aaj Pata Chala Ke Mai Kis Qadar Tanha Hon, ,
Peeche Jab Bhi Morr Kar Dekhon To Mera Saya Bhi Moonh Phair Leta Hai, , , , ,

Apno Ne Bhi Na Socha Ke Ujronga To Kahan Jaonga MOHSIN

Apno Ne Bhi Na Socha Ke Ujronga To Kahan Jaonga MOHSIN
Aashayana Jin Ka Na Ho Wo Prinday AKsar Mar Hi Jate Hain, , , ,

Sunoo.....'''Hum toot jayen gay'''

Sunoo.....
'''Hum toot jayen gay'''
'''Ke Doori seh na payen gay'''
'''Judai maar dalegi'''
Sunoo.....
'''Ye ankhen bojhal hain'''
'''Inhen kis tarah behlayen gay'''
Sunoo.....
'''Hum so na payen gay'''
'''Kabhi khush ho na payen gay'''
'''Judai maar dalegi'''''
Sunoo.....
'''Ye dil tumhara hai'''
'''Na tum bin ab guzara hau'''
Sunoo.....
''' Kuch waqt do humko'''
'''Bana len dost is ghum ko'''
'''Humain maloom hai aakhir'''
'''JUDAI MAAR DALEGI'''

Teri yad ko seene se laga kar roye,

Teri yad ko seene se laga kar roye,
Hum tasuwar mai tujhe pas betha kar roye,
Tujhko so bar pukara shab_e_tanhayi mai,
Aur har bar tujhe pas na pa kar roye,
Kabhi zindagi se gela karke roye
kabhi moat ki hum Dua karke roye,
Ajab silsila hai Nezam_e_muhabbat ka
Qaza karke bhi roye Ada karke bhi roye,,,,,

Sunday, 26 April 2015

Kon sath deta hai umer bhar kisi ka FARAZ

Kon sath deta hai umer bhar kisi ka FARAZ
Log to janazon mai bhi kandha badal lete hain,,,,,

Mujhse har bar wo apni nazren chura leta hai Faraz

Mujhse har bar wo apni nazren chura leta hai Faraz
Maine kagaz par bhi bana kar dekheen ankhen uski,,,

Apna HISSA shumar karta tha,

Apna HISSA shumar karta tha,
Mujhse wo itna PYAR karta tha,
Wo banata tha meri TASVEEREN,
Unse baatain HAZAAR karta tha,
Mera DUKH bhi khulos-e-niyat se,
Apne DUKH mai shumar karta tha,
SUCH samajta tha JHOOT bhi mera,
Yoon mera AITBAAR karta tha,
Pehle rakhta tha PHOOL mere raste mai,
Phir mera INTEZAR karta tha,
Aaj PEHLO mai wo nahi Dost
JAAN jo mujh pe NISAAR karta tha,,,,,

TERE SABHI GHAMON KO SAMAIT LOON,

TERE SABHI GHAMON KO SAMAIT LOON,
MIEN TUJHE ITNA PYAR DOON,
TERI UDAASIYON KO MITA K TERI HAR SHAAM NIKHAR DOON,
TERI AANKHON MAIN CHUPI KHIZAAN MERE DIL MAIN UTAR GAI,
TERE WAJOOD KO JO MEHKA DE TUJHE WOH BAHAR DOON,
TERI IK MUSKURAHAT KA BADAL KUCH HO NAHI SAKTA MAGAR,
JO MILY TUJHE KHUSHI TO MIEN APNI JAAN BHI WAAR DOON,
AA GAYA HAI HIJR KA JO DOUR TERE MERE DARMIYAN,
JO MILY MUJHE FURSAT TO MOHABBAT KA QARZ UTAAR DOON,
TERE DIL KI RONAQAIN JO MURJHA GAYI HAIN ISS TARHA,
LAGA K APNE SEENE SE TERI DHARKANON KO QARAR DOON,
TANHAIYON K TOOFAN SE JO BIKHAR GAYI HAIN SABHI,
JO KAHE TO AA KAR TERI HAR ZULF SANWAR DOON,
NA DHAN SE.DULAT SE. NA DUNIYA SE KOI MERA WASTA,
MILAY JO TU AGAR TO BUS!TERE SANG ZINDAGI GUZAR DOON

Tanhayi mere kan mai kuch kehne lagi hai,

Tanhayi mere kan mai kuch kehne lagi hai,
Ek zaat meri zaat mai gom rehne lagi hai,
jis aankh ko kisi ne bhi rote nahi dekha
Wo aankh kisi ki yaad mai ab rone lagi hai,,,,,

Apne Ghumon ki yun numaish na kar,

Apne Ghumon ki yun numaish na kar,
Apne naseeb ki yun azmaish na kar,
Jo tera hai tere dar par khud ayega
Roz usay paane ki khuwahish na kar,,,,,

Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,

Mujhe miti ke ghar banane ka shok tha,
Usay ashiyane girane ka shok tha,
Mai khud se roth jata hon aksar is liye,
Mujhe rothay howe log manane ka shok tha,
Usay Wadoon ki paasdari pasand na thi,
Lekin mujhe waaday nibhane ka shok tha,
Mai masroof tha tanhayun ki talaash mai,
Usay logon se milne milane ka shok tha,
Wo bewafa tha is mai herat ki baat kya hai,
mujhe bhi bewafa logon se DIL lagane ka shok tha,,,

Kabhi lafz bhool jaon kabhi baat bhol jaon,

Kabhi lafz bhool jaon kabhi baat bhol jaon,
tujhe is qadar chahon apni zaat bhol jaon,
Uth kar kabhi jo tere pas se mai chal don,
Jate howe khud ko tere pas bhool jaon,,,

Hijir ki pyas mai ek qatra bhi bohat hota hai,

Hijir ki pyas mai ek qatra bhi bohat hota hai,
Deed ke wastay ek lamha bhi bohat hota hai,
Jinke milne ki nahi door tak kuch umeed,
Unke khone ka khadsha bhi bohat hota hai,
Tum agar pas nahi ho to koi baat nahi,
Sirf ehsas ka manzar hi bohat hota hai,
Jinke kho jane se kho jata hai hosh-o-hawas
Unke mil jane ka nasha bhi bohat hota hai,,,,,

Kitni aziyat se usne mujhe bhoolaya hoga,

Kitni aziyat se usne mujhe bhoolaya hoga,
Meri yad ne usay khoob rulaya hoga,
Baat be baat aankh uski jo chalki hogi,
Usne chehre ko bazuon mai chupaya hoga,
Socha hoga usne din mai kayi bar mujhe,
Naam hatheli pe bhi likh likh ke mitaya hoga,
Jahan usne mera zikar suna hoga kisi se,
Uski aankhon mai koi anso to aaya hoga,
Raat ko bhi dair tak neend na ayi hogi
Usne takiye ko bhi seenay se lagaya hoga,,,,

Wo meri har baat se ikhtilaf karta hai,

Wo meri har baat se ikhtilaf karta hai,
Chup chup kar magar mera tawaf karta hai,
Kahin koi aur shaks mere kareeb na ho jaye
isi liye wo sab ko mere khilaf karta hai,,,,,

Bohat he Maan hai tum par, SUNO paas-e-wafa rekhna,

Bohat he Maan hai tum par,
SUNO paas-e-wafa rekhna,

SABHI se tum milo lekin,
ZARA sa fasla rakhna,

BICHARNA bhi to parta hai,
Zara sa hosla rakhna,

WO sarey wasil k lamhey,
TUM ankhon mai saja rakhna,

ABHI imkaan baqi hai,
ABHI lab pe duaa rakhna,

BOHAT nayab hon dekho,
HUMAIN sab se juda rakhna,.

Principal 2 Students:

Principal 2 Students:

U People Must Sleep Atleast 7 Hours A Day.

Students:

Impossible Sir!

College Is Only For 6 Hours!

MERI KHUSHI KI KHATIR KHUD KO SANBHALL RAKHNA

MERI KHUSHI KI KHATIR KHUD KO SANBHALL RAKHNA
USSNE KAHA THA MUJHSE APNA KHYALL RAKHNA
ISS BAAT KA TAQAZA MUJHSE JO KER RAHA THA
KYA USS KA HAQ NAHE THA MERA KHYALL RAKHNA ??

Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,


Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!

Raaz-e-dil na sunana kisi ko FARAZ,

Raaz-e-dil na sunana kisi ko FARAZ,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,

It Is Very Easy

It Is Very Easy
2 Eat Sweet Chocolates
Speak Sweet Words
Watch Sweet Dreams
But
Its Very Difficult
2 Find
A Sweet Person
But
I Salute U




Tumne mujhe dhond hi liya ...

Pathan As A Director :

Pathan As A Director :
U Should Jump 2 the Swimming Pool from 100 Ft Height ...
Hero:
I Don't Knw Swiming
Pathan :
Oye Don't Worry Yaar Pool Is Empty

Sabhi ko sab kuch nahi milta,

Sabhi ko sab kuch nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vada Bankar

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta,

Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta,
Khoo jata agar main kahin, to meri justuju karta,
Mein us ke zehan-o-dil main kuch is tarah sama jata,
K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,

Mujhe Kis Taraf Jaana Hay Kuch Khabar Nahi,

Mujhe Kis Taraf Jaana Hay Kuch Khabar Nahi,
Mere Raastey Bhi Kho Gaye Meri Muhabbat Ki Tarah..!

Saturday, 25 April 2015

Na Kuch Raha Pas Apne To Sanbhaal Ke Rakhi Ek Tanhayi, ,

Na Kuch Raha Pas Apne To Sanbhaal Ke Rakhi Ek Tanhayi, ,
Ye Wo Saltanat Hai Jis Ke Badsha Bhi Hum Wazeer Bhi Hum, , , , ,

Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain, ,

Jis Din Band Karli Maine Ye Ankhain, ,
Us Din Sab Ankhon Se Ansu Barsain Gay, ,
Jo Kehte Hain Ke Bohat Tang Karte Ho Tum, ,
Wohi Meri Ek Ek Shararat Ko Tarsen Gay, , , ,

Akele Jeene Ki Adat To Pehle Se Thi, ,

Akele Jeene Ki Adat To Pehle Se Thi, ,
Na Jane Kyun Ajj Tanhayi Mehsos Ho Rahi Hai Tere Baat Na Karne Se, , , , ,

Barson Chale Qateel Zamane Ke Sath Hum, ,

Barson Chale Qateel Zamane Ke Sath Hum, ,
Waqif Howe Na Phir Bhi Zamane Ki Chaal Se, , , , ,

Wo Moat Bhi Suhani Hogi, ,

Wo Moat Bhi Suhani Hogi, ,
Jo Yaron Ki Yari Main Aani Hogi, ,
Ye Dua Hai Khuda Se Ke Pehle Hum Jayen, ,
Kyun Ke WelCoMe Ki Rasam Bhi To Nibhani Hogi, , , , ,

Nafrat Karni Ho To Hum Se Is Qadar Karna, ,

Nafrat Karni Ho To Hum Se Is Qadar Karna, ,
Ke Hum Dunya Se Chale Jayen Or Tumhari Aankh Mai Ek Anso Tak Na Aye, , , , ,

Usko Sajne Ya Sanwarne Ki Zarorat Hi Nahi, ,

Usko Sajne Ya Sanwarne Ki Zarorat Hi Nahi, ,
Us Pe Jachti Hai Haya Bhi Kisi Zaiwar Ki Tarhan, , , , ,